← सभी नज़्में

ज़ान फ़रज़ान की नज़्म: ग़रज़

Nazm · #1

ग़रज़

कल इक आदमी मुझ को बस में मिला जो
मुझे देख कर यूँ था हैराँ के जैसे
पुराना कोई यार उसे मिल गया हो
मिरे पास आकर वो बैठा ही था बस
के अगले ही पल मुस्कुरा कर वो कहता
मियाँ और क्या हाल सब ख़ैरियत है
मैं अनजान उस शख़्स से क्या ही कहता
के मैं तो उसे जानता ही नहीं था
बहुत ज़ोर फिर ज़ेहन पर मैं ने डाला
मुझे पर वो चेहरा कहाँ याद आया
सो मैं ने फिर उस से ही पूछा बिल-आख़िर
के भाई तू क्या मुझ से पहले मिला है
मिला हो अगर तो बता क्यों कि मुझ को
नहीं आ रहा याद तेरा ये चेहरा
ये सुन के वो ज़ोरों से हँसने लगा और
बड़े तंज़िया लहजे में बोल उठ्ठा
मियाँ ख़ैरियत पूछने के लिए भी
हमें जानना होगा इक दूसरे को
हम इक दूसरे को नहीं जानते हैं
मियाँ आप थोड़े परेशाँ दिखे थे
सो बस आपका हाल पूछा था यूँ ही
ये सुन के तो मानो नदामत से फ़ौरन
कहा उस से मैं ने के हाँ ठीक हूँ मैं
फिर उस की भी उस से ज़रा ख़ैरियत ली
और इस गुफ़्तुगू को किया ख़त्म मैं ने
मगर मन ही मन में मैं इस गुफ़्तुगू को
बहुत देर तक सोचता ही रहा बस
के जितनी बुरी मैं समझता था दुनिया
ये दुनिया तो उतनी बुरी भी नहीं है
यहाँ कुछ भले लोग अभी भी बचे हैं
जो यूँ बे-ग़रज़ ख़ैरियत पूछते हैं
और इस ख़ूब-सूरत नज़रिए को दिल में
बसाने ही मैं जा रहा था के यक-दम
बड़े नर्म लहजे में वो शख़्स बोला
मियाँ आप अपना ज़रा नेट देंगे
मिरा नेट शायद नहीं चल रहा और
मुझे इक अहम काम करना है अपना
ये सुन के उसे नेट तो दे दिया पर
कहा मुस्कुराते हुए मैं ने मन में
सही सोचता था मैं दुनिया के बारे

इस नज़्म को खोज, शेयर और डाउनलोड के पूरे इंटरएक्टिव अनुभव के साथ पढ़ें — ज़ान फ़रज़ान की वेबसाइट पर →

Roman Transliteration

Gharaz

Kal ik aadmi mujh ko bus mein mila jo
Mujhe dekh kar yun tha hairaan ke jaise
Puraana koi yaar use mil gaya ho
Mire paas aakar wo baitha hi tha bas
Ke agle hi pal muskura kar wo kahta
Miyaan aur kya haal sab khairiyat hai
Main anjaan us shakhs se kya hi kahta
Ke main to use jaanta hi nahin tha
Bahut zor phir zehan par main ne daala
Mujhe par wo chehra kahaan yaad aaya
So main ne phir us se hi poochha bil-aakhir
Ke bhai tu kya mujh se pahle mila hai
Mila ho agar to bata kyon ki mujh ko
Nahin aa raha yaad tera ye chehra
Ye sun ke wo zoron se hansne laga aur
Bade tanziya lahje mein bol uttha
Miyaan khairiyat poochhne ke liye bhi
Hamen jaanna hoga ik dusre ko
Hum ik dusre ko nahin jaante hain
Miyaan aap thode pareshaan dikhe the
So bas aapka haal poochha tha yun hi
Ye sun ke to maano nadaamat se fauran
Kaha us se main ne ke haan theek hun main
Phir us ki bhi us se zara khairiyat li
Aur is guftugu ko kiya khatm main ne
Magar man hi man mein main is guftugu ko
Bahut der tak sochta hi raha bas
Ke jitni buri main samajhta tha duniya
Ye duniya to utni buri bhi nahin hai
Yahaan kuchh bhale log abhi bhi bache hain
Jo yun be-gharaz khairiyat poochhte hain
Aur is khoob-soorat nazariye ko dil mein
Basaane hi main ja raha tha ke yak-dam
Bade narm lahje mein wo shakhs bola
Miyaan aap apna zara net denge
Mira net shaayad nahin chal raha aur
Mujhe ik aham kaam karna hai apna
Ye sun ke use net to de diya par
Kaha muskuraate hue main ne man mein
Sahi sochta tha main duniya ke baare