← सभी ग़ज़लें
ज़ान फ़रज़ान की ग़ज़ल: चाहता हूँ तिरे हर सितम की मुकाफ़ात हो
Ghazal · #13
चाहता हूँ तिरे हर सितम की मुकाफ़ात होजो मिरे साथ तू ने किया कल तिरे साथ हो
रोज़ जब सुब्ह उठता हूँ होता है मन यूँ उदासगोया तेरा बिछड़ना अभी कल ही की बात हो
अपनी ख़ल्वत को ज़ाया न कर ये ख़ुदा की है देनता कि तन्हाई में तेरी तुझ से मुलाक़ात हो
और आसान हो ता कि अगली दफ़ा जीतनामात हो ही रही है तो अच्छी तरह मात हो
पूरे दिन का थका जिस्म है रात का मुंतज़िरऔर ये दिल कि जो चाहता ही नहीं रात हो
महफ़िल-ए-ग़ैर में मेरी रुस्वाई के पीछे भीकुछ त'अज्जुब नहीं गर मिरे अपनों का हाथ हो
फिर ही शायद इन आँखों में क़ौस-ए-क़ुज़ह हो 'अयाँ'ज़ान' मुमकिन है पहले इन आँखों से बरसात हो
Roman Transliteration
Chaahta hun tire har sitam ki mukaafaat hoJo mire saath tu ne kiya kal tire saath ho
Roz jab subh uthta hun hota hai man yun udaasGoya tera bichhadna abhi kal hi ki baat ho
Apni khalwat ko zaaya na kar ye khuda ki hai denTa ki tanhaai mein teri tujh se mulaaqaat ho
Aur aasaan ho ta ki agli dafa jeetnaMaat ho hi rahi hai to achchhi tarah maat ho
Poore din ka thaka jism hai raat ka muntazirAur ye dil ki jo chaahta hi nahin raat ho
Mahfil-e-ghair mein meri ruswaai ke peechhe bhiKuchh ta'ajjub nahin gar mire apnon ka haath ho
Phir hi shaayad in aankhon mein qaus-e-quzah ho 'ayaan'Zaan' mumkin hai pahle in aankhon se barsaat ho