← सभी ग़ज़लें
ज़ान फ़रज़ान की ग़ज़ल: सुकून इस दर्जा फ़ुर्क़त में नहीं होता
Ghazal · #14
सुकून इस दर्जा फ़ुर्क़त में नहीं होताअगर ये ज़ेहन ग़फ़लत में नहीं होता
वो सब कुछ पा के भी अक्सर रहे बे-चैनतशक्कुर जिस की फ़ितरत में नहीं होता
मदद माँगे कोई तो बे झिझक करनाख़सारा इस तिजारत में नहीं होता
मगर क्या क्या नहीं होता तसव्वुर मेंअगरचे कुछ हक़ीक़त में नहीं होता
हर औरत में कुछ ऐसा ढूँडते हैं मर्दकुछ ऐसा जो हर औरत में नहीं होता
बताऊँ क्या कि वहशत किस को कहते हैंबताता गर मैं वहशत में नहीं होता
है डर ताख़ीर का पर जानता भी हूँकि कोई काम 'उजलत में नहीं होता
'अबस आह-ओ-फ़ुग़ाँ करते हो क्यूँ देखोनहीं मिलता जो क़िस्मत में नहीं होता
किसी की आबरू पामाल कर के 'ज़ान'इज़ाफ़ा अपनी इज़्ज़त में नहीं होता
Roman Transliteration
Sukoon is darja furqat mein nahin hotaAgar ye zehan ghaflat mein nahin hota
Wo sab kuchh pa ke bhi aksar rahe be-chainTashakkur jis ki fitrat mein nahin hota
Madad maange koi to be jhijhak karnaKhasaara is tijaarat mein nahin hota
Magar kya kya nahin hota tasawwur meinAgarche kuchh haqeeqat mein nahin hota
Har aurat mein kuchh aisa dhoondte hain mardKuchh aisa jo har aurat mein nahin hota
Bataaun kya ki wahshat kis ko kahte hainBataata gar main wahshat mein nahin hota
Hai dar taakheer ka par jaanta bhi hunKi koi kaam 'ujlat mein nahin hota
'Abas aah-o-fughaan karte ho kyun dekhoNahin milta jo qismat mein nahin hota
Kisi ki aabroo paamaal kar ke 'Zaan'Izaafa apni izzat mein nahin hota