← सभी ग़ज़लें
ज़ान फ़रज़ान की ग़ज़ल: क़ल्ब-ए-ना-शाद की अब ज़रूरत नहीं
Ghazal · #19
क़ल्ब-ए-ना-शाद की अब ज़रूरत नहींसो तिरी याद की अब ज़रूरत नहीं
मुझ को राह-ए-ख़ुदा में ये ख़ल्वत मिलीमुझ को अफ़राद की अब ज़रूरत नहीं
पड़ चुकी है क़फ़स की अब आदत मुझेज़ुल्म-ए-सय्याद की अब ज़रूरत नहीं
दौलतों के 'इवज़ 'इश्क़ मिलता है याँ'इश्क़-ए-फरहाद की अब ज़रूरत नहीं
बुर्द-बारी से सब सीख बैठा हूँ मैंदर्स-ए-अजदाद की अब ज़रूरत नहीं
चाहिएँ बस वफ़ादार दो चार दोस्तढेर ता'दाद की अब ज़रूरत नहीं
कल तलक जिस के होने से थी ज़िंदगीउस परी-ज़ाद की अब ज़रूरत नहीं
बे-बसी में कभी वो भी तड़पा था 'ज़ान'जिस को इमदाद की अब ज़रूरत नहीं
Roman Transliteration
Qalb-e-na-shaad ki ab zaroorat nahinSo tiri yaad ki ab zaroorat nahin
Mujh ko raah-e-khuda mein ye khalwat miliMujh ko afraad ki ab zaroorat nahin
Pad chuki hai qafas ki ab aadat mujheZulm-e-sayyaad ki ab zaroorat nahin
Daulaton ke 'iwaz 'ishq milta hai yaan'Ishq-e-farhaad ki ab zaroorat nahin
Burd-baari se sab seekh baitha hun mainDars-e-ajdaad ki ab zaroorat nahin
Chaahien bas wafaadaar do chaar dostDher ta'daad ki ab zaroorat nahin
Kal talak jis ke hone se thi zindagiUs pari-zaad ki ab zaroorat nahin
Be-basi mein kabhi wo bhi tadpa tha 'Zaan'Jis ko imdaad ki ab zaroorat nahin