← सभी ग़ज़लें
ज़ान फ़रज़ान की ग़ज़ल: सज़ा के तौर पर पाई है ये बे-चारगी मैं ने
Ghazal · #9
सज़ा के तौर पर पाई है ये बे-चारगी मैं नेगुनह ये था कि इक इंसान से उम्मीद की मैं ने
है इक ख़्वाहिश कि मुझ को भी कोई मेरी तरह चाहेमिरे जैसा कोई 'आशिक़ नहीं देखा कभी मैं ने
वो जब तक था मिरी ख़ू-ए-फ़रामोशी भी तब तक थीवो जब ख़ुद याद बन बैठा तो ये ख़ू छोड़ दी मैं ने
हुई मुद्दत कि आता भी नहीं है क़ब्र पर मेरीवही इक शख़्स जिस पे वार दी थी ज़िंदगी मैं ने
'अदावत का कोई रिश्ता कभी होता नहीं है ख़त्मइसी इक वज्ह से की है ग़मों से दोस्ती मैं ने
तो अब क्यूँ सोचता हूँ मैं मुसलसल उस के बारे मेंअगर वो बात क़स्दन ही करी थी अन-सुनी मैं ने
नज़र जब तक न आया वो करी तब तक तलाश उस कीमगर जब वो नज़र आया नज़र ही फेर ली मैं ने
बहुत कमज़ोर लम्हे पेश आए ज़िंदगी में 'ज़ान'पर उन कमज़ोर लम्हों में बहुत की शायरी मैं ने
Roman Transliteration
Saza ke taur par paai hai ye be-chaargi main neGunah ye tha ki ik insaan se ummeed ki main ne
Hai ik khwaahish ki mujh ko bhi koi meri tarah chaaheMire jaisa koi 'aashiq nahin dekha kabhi main ne
Wo jab tak tha miri khoo-e-faraamoshi bhi tab tak thiWo jab khud yaad ban baitha to ye khoo chhod di main ne
Hui muddat ki aata bhi nahin hai qabr par meriWahi ik shakhs jis pe waar di thi zindagi main ne
'Adaawat ka koi rishta kabhi hota nahin hai khatmIsi ik wajh se ki hai ghamon se dosti main ne
To ab kyun sochta hun main musalsal us ke baare meinAgar wo baat qasdan hi kari thi an-suni main ne
Nazar jab tak na aaya wo kari tab tak talaash us kiMagar jab wo nazar aaya nazar hi pher li main ne
Bahut kamzor lamhe pesh aae zindagi mein 'Zaan'Par un kamzor lamhon mein bahut ki shaayari main ne