← सभी नज़्में
ज़ान फ़रज़ान की नज़्म: मैं ला-परवा अभी भी हूँ
Nazm · #3
मैं ला-परवा अभी भी हूँ
जो बचपन में कहा करती थी माँ मेरी
जो शायद इक हक़ीक़त थी
मुझे वो याद है अब भी
कि मैं हर चीज़ को बस तोड़ देता हूँ
न जाने क्यूँ किसी भी चीज़ की परवा नहीं करता
ये सच ही था
खिलौने हों कि जूते हों कि चप्पल हो
कि हो पानी की बोतल या टिफ़िन ही हो
कि हो स्कूल का बस्ता या हो ज्योमेट्री का बॉक्स
नए आते थे और मैं कुछ ही दिन में तोड़ देता था
था मैं तब से ही लापरवा
मिरी आदत थी ये शायद
बड़ा तो हो गया मैं पर ये इक आदत नहीं बदली
फ़क़त बदली हैं चीज़ें टूटने वाली
कि तब जो टूट जाती थीं वो चीज़ें अब सलामत हैं
मगर अब कुछ नई चीज़ें हैं जिनको तोड़ता हूँ मैं
मिरी आदत कहाँ ही छोड़ता हूँ मैं
किसी से दोस्ती कितनी ही हो कितना ही रिश्ता हो
किसी की आस मुझ से हो या हो मुझ से उमीदें ही
मिरा ख़ुद से किया वादा हो या फिर हों मिरे सपने
मिरे दिल में पले अरमान हों या हो मिरा ये दिल
मैं सब कुछ तोड़ देता हूँ न जाने क्यूँ
नहीं मालूम ये ताकत है मेरी या है कमज़ोरी
मगर ख़ैर अब करूँगा जान कर क्या ही
मुझे इतना पता है बस कि हाँ शायद
मैं लापरवा अभी भी हूँ
Roman Transliteration
Main La-parwa Abhi Bhi Hun
Jo bachpan mein kaha karti thi maan meri
Jo shaayad ik haqeeqat thi
Mujhe wo yaad hai ab bhi
Ki main har cheez ko bas tod deta hun
Na jaane kyun kisi bhi cheez ki parwa nahin karta
Ye sach hi tha
Khilaune hon ki joote hon ki chappal ho
Ki ho paani ki botal ya tiffin hi ho
Ki ho school ka basta ya ho geometry ka box
Nae aate the aur main kuchh hi din mein tod deta tha
Tha main tab se hi laaparwa
Miri aadat thi ye shaayad
Bada to ho gaya main par ye ik aadat nahin badli
Faqat badli hain cheezen tootne waali
Ki tab jo toot jaati thin wo cheezen ab salaamat hain
Magar ab kuchh nai cheezen hain jinko todta hun main
Miri aadat kahaan hi chhodta hun main
Kisi se dosti kitni hi ho kitna hi rishta ho
Kisi ki aas mujh se ho ya ho mujh se umeeden hi
Mira khud se kiya waada ho ya phir hon mire sapne
Mire dil mein pale armaan hon ya ho mira ye dil
Main sab kuchh tod deta hun na jaane kyun
Nahin maaloom ye taakat hai meri ya hai kamzori
Magar khair ab karunga jaan kar kya hi
Mujhe itna pata hai bas ki haan shaayad
Main laaparwa abhi bhi hun