← सभी नज़्में
ज़ान फ़रज़ान की नज़्म: आँखों की ख़ातिर
Nazm · #9
आँखों की ख़ातिर
उस की आँखों की ख़ातिर
या उस की आँखों के वास्ते
उस से जुदा होना एक गुनाह है मुझे
कि हाँ ये भी एक सबब है
उस से जुदा या महजूर न होने का
कि जब जब ख़याल-ए-फ़िराक़
आता है मेरे ज़ेहन में तो मैं
उस की वो आँखें ही तो याद करता हूँ
कि क्या होगा जब छोड़ दूँगा
उन आँखों को दरमियान-ए-सफ़र
क्या वो अफ़सुर्दा आँखें फिर
सह पाएँगी ये महजूरी मेरी
वो आँखें जिन में एक उम्र तलक
खोया रहा हूँ मैं वो आँखें जो
मुझे मुझ से ज़ियादा जानती हैं
वो आँखें जिन में महफ़ूज़ हैं
सारी यादें सारी बातें सारे लम्हें
और सब 'आलम अपने सुख दुख के
वो आँखें जो मेरे हर ख़्वाब को
अपना ख़्वाब मानती हैं और
जिस के ख़ुद के ख़्वाब मा-तहती हुए हैं
वो आँखें जो अपने माज़ी में
बड़ी परेशान रही हैं वो आँखें
जो मुझे एक उम्मीद से देखती हैं अभी
और अब इस मौजूदा हाल में
एक सुकून तलाशती हैं मुझ में कहीं
वो आँखें जो अभी भी सहमी हुई हैं
पर एक कशिश लौटी तो है उन में मेरे आने से
वो आँखें जिन से वा'दा कर चुका हूँ मैं
कि कभी सबब-ए-गिर्या न बनूँगा
और कभी दरमियान-ए-सफ़र
न छोड़ूँगा उन्हें
Roman Transliteration
Aankhon Ki Khaatir
Us ki aankhon ki khaatir
Ya us ki aankhon ke waaste
Us se juda hona ek gunaah hai mujhe
Ki haan ye bhi ek sabab hai
Us se juda ya mahjoor na hone ka
Ki jab jab khayaal-e-firaaq
Aata hai mere zehan mein to main
Us ki wo aankhen hi to yaad karta hun
Ki kya hoga jab chhod dunga
Un aankhon ko darmiyaan-e-safar
Kya wo afsurda aankhen phir
Sah paayengi ye mahjoori meri
Wo aankhen jin mein ek umr talak
Khoya raha hun main wo aankhen jo
Mujhe mujh se ziyaada jaanti hain
Wo aankhen jin mein mahfuz hain
Saari yaaden saari baaten saare lamhen
Aur sab 'aalam apne sukh dukh ke
Wo aankhen jo mere har khwaab ko
Apna khwaab maanti hain aur
Jis ke khud ke khwaab ma-tahati hue hain
Wo aankhen jo apne maazi mein
Badi pareshaan rahi hain wo aankhen
Jo mujhe ek ummid se dekhti hain abhi
Aur ab is maujuda haal mein
Ek sukun talaashti hain mujh mein kahin
Wo aankhen jo abhi bhi sahmi hui hain
Par ek kashish lauti to hai un mein mere aane se
Wo aankhen jin se waa'da kar chuka hun main
Ki kabhi sabab-e-girya na banunga
Aur kabhi darmiyaan-e-safar
Na chhodunga unhen